Refer a Friend ๐
Apni dosto ko Adour batayein. Unhein Rs 150 off, aur aap ka 7th pair FREE!
Kaise kaam karta hai?
-
Aap ka referral code = aap ka mobile number. Jo number aap ne Adour ke order mein diya tha, wohi aap ka code hai (11 digit, 0 se shuru, jaise 03001234567). Code aap ka pehla order deliver hone ke baad active hota hai.
-
Dost ko apna number dein. Woh adour.pk pe order karte waqt checkout par aap ka number discount code ki jagah likhe aur Rs 150 off paye.
-
Pairs judte jayenge. Aap ke code se dosto ke jitne pairs deliver hon, aur aap ke apne full price pe khareede hue pairs, sab aap ki ginti mein judte hain. Ek hi order mein 6 pairs hon to bhi ginay jayenge.
-
6 pairs complete = 7th pair FREE. 60 din ke andar 6 pairs deliver hon to aap ko email pe free pair ka code milega. Website ka koi bhi 1 pair bilkul free, sirf delivery charges Rs 199.
Shartein
- Offer 20 October 2026 se shuru. Is ke baad deliver hue pairs ginay jayenge.
- Sirf deliver hue pairs ginay jayenge. Return ya cancel hue pairs ginti mein nahi aayenge.
- Aap ke apne orders mein sirf full price pe khareede pairs ginay jayenge (kisi aur discount code wale nahi). Apne order pe apna code lagane ki zaroorat nahi, aap ke pairs khud ginay jate hain.
- Dost ka Rs 150 off har customer ko sirf ek dafa milta hai, aur doosre discount codes ke saath nahi chalta.
- Free pair ka code sirf aap ke account pe chalega aur 30 din tak valid hai.
- 60 din mein ek customer ko zyada se zyada 2 free pairs.
- Wholesale orders is offer mein shamil nahi.
- Kisi bhi ghalat istemal ki surat mein Adour code band kar sakta hai.
Apni ginti janne ke liye website chat ya Instagram DM par apna mobile number bhejein.
Abhi Shop Karein โ